Saturday, October 5, 2013

Mohsin Naqvi Sad Poetry in Urdu SMS in Urdu Pics by Wasi Shah Wallpapers About Love on Facebook in English

Mohsin Naqvi Sad Poetry Biography

Source(Gogle.com.pk)
Mohsin Naqvi Poetry

The great Urdu language poet of Pakistan Syed Mohsin Naqvi was born in 15 January 1996. His actual Name was Ghulam Abbas. He completed his Graduation from Gove. College Bosan Road Multan and masters from University of the Punjab Lahore.

Woh dil ka bura na bewafa tha
Bas mujh say yun hi bichar gia
Lafzon ki hadon say mawran tha
Ab kis say kahon woh shakhs kia tha
Woh meri gazal ka Aaina tha
Har shakhs yeh sab janta tha
Har simt is ka tazkirah tha
Har dil mein woh jaisay bas raha tha
Mein is ki ana ka aasra tha
Woh mujh say kabhi roothta nahi tha
Mein dhoop kay ban mein jal raha tha
Woh sayah abr ban gia tha
Mein banjh ruton ka aashna tha
Woh mosam gul ka zaiqah tha
Ik barbichar kay jab mila tha
Woh mujh say mil kay ro para tha
Kia kuch na is say kaha gia tha
Is nay to labon ko si lia tha
Woh chand ka humsafar tha shayad
Raaton ko tamam jagta tha
Honton mein gulon ki narm khushboo
Baaton mein to shehad gholta tha
Kehnay ko juda tha mujh say lekin
Woh meray ragon mein goonjta tha
Is nay jo kaha kia dil nay
Inkar ka kis mein hoslah tha
Yun dil mein thi yaad is ki jaisay
Masjid mein chiragh jal raha tha
Mat pooch hajab kay qarinay
Woh mujh say bhi kam hi khul saka tha
Is din mera dil bhi tha pareshan
Woh bhi mera dil say kuch khafa tha
Mein bhi Dara hua sa lekin
Rung is ka bhi kuch Ura Ura tha
Ik khof sa hijr ki ruton ka
Donon peh moheet ho chala tha
Ik pal mein jhapak gayeen jo aakhein
Manzar hi doosra tha
Socha to thahar gaye zamanay
Dekha to woh door ja chuka tha
Qadmon say zameen sarak gayi thi
Suraj ka rung saanola tha
Chaltay huye log bhi ruk gaye the
Thehra hua shehar ghoomta tha
Sahmay huye perh kaanptay the
Patton mein har is reengta tha
Rakhta tha mein jis mein khaab apnay
Woh kanch ka ghar chatakh gia tha
Hum donon ka dukh tha aik jaisa
Ahsaas magar juda juda tha
Kal shab mila tha woh doston ko
Kehtay hain udas lag raha tha
Mohsin yeh Ghazal bhi keh rahi hay
Shayed tera dil dukha hua tha

Ujray huye Logon say gurezan na hua kar
Halat ki qabron kay yeh Kutbay Bhi Parha Kar

Woh aaj bhi sadyon ki Musafat peh khara hai
Dhoonda tha jisay waqt ki diwar gira kar

Har waqt ka hansna tujhay Barbaad na kar day
Tanyayi kay lamhon mein kabhi ro bhi lia kar

Aye dil tujhay dushman ki bhi Pehchan kahan hai
Tu halqah yaran mein bhi Mohtaat raha kar

Is shab kay Moqaddar mein sehar hi nahi mohsin
Dekha hai kayi hum nay Chiraghon ko bujha kar

Bichar kay mujh say kabhi tu nay yeh bhi soncha hai
Adhoora chand bhi kitna Udas lagta hai

Yeh khatam wasal ka lamha hai Raigan na samajh
Keh is kay baad wahi Dooryon ka sehra hai

Kuch aur der na jarhna udasyon kay shajar
Kisay khabar teray saye mein kon baitha hai

Yeh rakh rakhao muhabbat sikha gayi is ko
Woh rooth kar bhi mujhay Muskura kay milta hai

Kuch is qadar bhi to aasan nahi hai Ishq tera
Yeh zehar Dil mein utr kar hi Raas aata hai

Mein tujh ko pakay bhi Khoya hua sa rehta hon
Kabhi Kabhi tu mujhay theek tu nay samjha hai

Isay ganwa kay mein Zinda hon is tarah Mohsin
Keh jaisay tez hawa mein Chiragh jalta hai.

Nayi tarah say nibhanay ki dil nay thani hai
Wgarna is say muhabbat meri purani hai

Khuda woh din na dekhaye keh mein kisi say sonon
Keh tu nay bhi gham e dunya say har mani hai

Zameen peh rah kay Sitaray shikar kartay hain
Mizaj ahl e muhbbat ka aasmani hai

Hamein Azeez ho kiun kar na sham e gham keh yahi
Bichar nay walay teri Aakhri Nishani hai

Utar paray ho to darya say poochna kaisa
Keh sahilon say udhar kitna tez pani hai

Buhat dinon mein teri yaad orh kar utri
Yeh sham kitni sonehri hai kia sohani hai

Jala ke tu bhi agar aasra na de mujh ko
Yeh khof hai keh hawa phir bujha na de mujh ko

Mein is kheyal se mur mur ke dekhta hon ise
Bichar ke woh bhi kahin phir sada na de mujh ko

Qazaye dasht agar ab mein ghar ko yaad karon
Woh khak ure keh hawa rasta na de mujko

Mein is kheyal se shab bhar mein so nahi sakta
Keh khof e khawab guzashtah jaga na de mujh ko

Tere beghair bhi teri tarah mein zinda hon
Yeh hoslah bhi dua kar khuda na de mujh ko

Mein is liye bhi ise khood manaon ga Mohsin
Keh mujh se roothne wala bhula na de mujh ko

Nayi tarah se nibhne ki Dil ne thani hai
Wagarnah is se Muhabbat meri purani hai

Khuda woh din na dekhaye ke mein kisi se sonon
Keh tu ne bhi gham e dunya se har mani hai

Zameen peh rah ke sitare shikar karte hain
Mizaj ahl e muhabbat ka aasmani hai

Hamein azeez ho kiun kar na Shame e gham keh yahi
Bicharne wale teri aakhri nishani hai

Utar pare ho to darya se poochna kaisa
Keh sahilon se udhar kitna tez pani hai

Bbuhat dinon mein teri yaad orh kar utri
Yeh sham ketni sonehri hai kia sohani hai

Meri aankhon mein jo tasveer basi hai

Bhupri mojein, door Sahil, ik sahara chahiye

Aarzo ki shiddat ko kaash tum samajh sakte

Chand ik Qabar kay sine mein utar jaye ga

Har aik chehre pe Dil ko guman is ka tha

No comments:

Post a Comment